Monday, March 28, 2016

TEEN KASHTIYAN



Hazrat Moosa A.S ka waqia

Ek baar k waqia hai k Hazrat Moosa A.S ko Allah ne hukm diya ki samundar k kinare ja waha teen kashtiyan doobne wali hai. Moosa (a.s) fauran huqm ki tameel karte huye samundar ki taraf chal diye sahil par bahut sukoon tha door se ek kashti aati hue dikhai de jo dhere dhere sahil ki taraf arahi thi.Kuch fasle par thi to Moosa (a.s) ne awaz di ai kashti walo Allah ka huqm aane wala hai hoshiyar rahna to un logo ne jawab diya k aap jante hai Allah k huqm ko koi nai taal sakta aur ham to us k banday hai abhi kashti wale ye baat bol hi rahe the k achanak ek mauz uthi aur kashti dolne lagi sawari apne aap ko bachane lagi tabhi ek aur zaordar mauz uthi aur kashti ko baha kar apne sath samundar k teh me le gae.Thori dair mr ek aurkashti nazar aae aap ne unhe bhi khabar daar kiya par unhone bhi pahle walo ki tarah jawab diya k jo hona hai ho kar rahega aur kashti kinare ki taraf late rahe yaha tak k sahil k kinare tak aate aate kashti doob gae.Hazrat Moosa (a.s) Allah ki rahmat k bare me sonch rahe the ki aap ko teesri kashti aati dekhai de aap ne inko bhi nasihat ki k dekho Allah ka huqm aane wala hai apne gunaho ki mafi mangte hue zara ahtiyat se aana to unlogo ne jawab diya k ai Allah k nabi jis tarah aap sacche ho usi tarah Allah ka huqm bhi atal hai ise koi nai badal sakta lekin Allah ki rahmat bhi to hai ham us ki rahmat se q mayoos ho lehaja ham us ki rahmat par bharosa kar k aarahe hai aur wo apni rahmat ke sadqe me hame zaroor aman aur salamti k sath kinare pahuncha dega.Kashti walo ka ye jawab sun kar hazrat Moosa (a.s) khamosh ho gaye. Jab kashi ba hifazat kinare aagae to Allah k paighambar sochne lage k Allah ne teen kashtiyan doobne ka farmaya tha par do hi doobi ek to salamti k sath kinare aagae hai ye kaise bach gae.
  Allah ne farmaya ae Moosa aap ne suna nai k teesri kashti walo ne kiya kaha unhone mere huqm ki tasleem ki thi , mere rahmat ko awaz di thi aur us par poora bharosa aur tawkkul bhi kiya tha to isleye ye kashti mere rahmat se bach gae q k jo bhi mere rahmat k darwaze par a kar sada deta hai use na ummed nahi karta 


No comments:

Kuch deen ki Zaroori Baten

1> सुबह के वक्त सोना रिज्क को रोकता है" """"""""""""""...